History of Hazrat e Masooma e Qum as


Apka name Fatimah hay or mashhor tareen laqab "Masoomah"hy.Walid imam e Haftum sheyan Hazrat ImamMosa Kazim as or
walda Hazrat Najma khatoon hain.Hazrat imam Raza as or hazrat Masooma Qum ki aik hi walida hian.
apki wiladat first Zeqada 173 hijri qmri ko Madina me hoi or aj ky din ko shia Rooze dukhtaran(Larkio ka din )kehty hain.
phr walid ki shahdat ki wajha sy ap ki trbyat ki zmydariapky bhai Hazrat Imam Raza as ky zimy hoi.
200 hijri qamri me Mamoon ky israr or griftari ki wajha sy imam Raza as Maroo tashrif lay to apky sath koi rishty dar
or nahi koi ghr ka frd sath tha is tanhai ky alam me ap KHurasan tashrif lay.
Aik sal bad Hazrat Masooma Qum as apny bhai ky didar ky shoq or krdar e Zanabi koo anjam deny ky ly pyam e wilayat phelany ky ly kuch bhaio
or kuch bhatijoo ky sath azim e kHurasan hoin or apka hr shehr me istaqbal hoaapny apny bhai ki mazloomyat or bani abas ky heloo
or syasat ka brmala izhar kia yaha tk ky qafla Sawah ky muqam pr pohncha waha pr hokomt ky afrad phly sy mojod thy sary rah Qaflay or hokomt ky afrad ky drmyan jang hoi is Jang me tamam mrd shaheed ho gay riwayat me mlta hy ky isi jang me Hazrat Masoooma Qum as ko bhi zehr dy dia gaya.
Hazrat Masooma Qum as zehr ky asar,musafrat,bhai ki jodai or mushkil halat ki wajha sy bymar ho gain kunky ap khurasan nahi ja sktin thin lihaza Qum ka apny irada kia or pocha
Qum or sawa ky drmyan kitna fasla hy?
phr apny frmaya mujhy"Qum ly jao.kun ky meny apny Walid sy suna hy "sher Qum hamary shio ka mrkaz hay".
23 Rabiul Awal sal201hijri qamri me ap Qum me tashrif lain "Mosa bn khazraj" ko jo ky buzrgwar e qabila "ashri" sy thy ko Mazbani ka sharf mila.
17 din apny qum me qyam kia Ebadat wa dua me masrof rahin.
10 Rabiul sani or mashhoor qol ki bina pr 12 Rabiul sani sal201 hijri me aalam e ghurbat(mufair ko gharib kehty hain na ky faqir) me apki shahadat hoi.